Best Love Shayari for True Love, Awesome Sad Love Shayari Wallpapers, Cute Sweet Romantic Love Shayari Wallpaper Download, Beautiful Mohabbat Shayari on Love SMS, Khoobsurat Hindi shayari, Ishq Alone shayari, Urdu shayari HD Wallpaper, Shayari Wallpapers for Mobiles, Status Shayari.
Chale Aate Hain Dil Mein Armaan Lakhon - Daagh Dehlvi - Dard Shayari
phire rah se wo yahan aate aate
ajal mar rahi tu kahan aate aate
na jaana ki duniya se jata hai koi
bahut der ki mehrban aate aate
suna hai ki aata hai sar nama-bar ka
kahan rah gaya armughan aate aate
yaqin hai ki ho jae aaKHir ko sachchi
mere munh men teri zaban aate aate
sunane ke qabil jo thi baat un ko
wahi rah gai darmiyan aate aate
mujhe yaad karne se ye muddaa tha
nikal jae dam hichkiyan aate aate
abhi sin hi kya hai jo bebakiyan hon
unhen aaengi shoKHiyan aate aate
kaleja mere munh ko aaega ek din
yunhi lab par aah-o-fughan aate aate
Mohabbat mein nahin hai farq | Love Shayari - Mirza Ghalib
Hazaron khwahishen aisi ke har khwahish pe dam nikle..
Bahut nikle mere armaan lekin phir bhi kam nikle..
Dare kyun mera qatil kya rahega uske gardan par..
Wo khoon jo chashm-e-tar se umr bhar yun dam-ba-dam nikle..
Nikalna khuld se aadam ka sunte aae hain lekin..
Bahut be-abru hokar tere kooche se hum nikle..
Bharam khul jaye zalim tere qamat ki daraazi ka..
Agar is turra-e-pur-pech-o-kham ka pech-o-kham nikle..
Magar likhwae koi usko khat to humse likhwae..
Hui subah aur ghar se kan par rakh kar qalam nikle..
Hui is daur mein mansub mujhse baada-ashami..
Phir aaya woh zamana jo jahan mein jaam-e-jam nikle..
Hui jin se tawaqqo khastagi ki dad pane ki..
Wo humse bhi ziyada khasta-e-tegh-e-sitam nikle..
Mohabbat mein nahin hai farq jeene aur marne ka..
Usi ko dekh kar jeete hain jis kafir pe dam nikle..
Kahan me-khane ka darwaza Ghalib aur kahan waiz..
Par itna jaante hain kal wo jata tha ki hum nikle..

Subscribe to:
Posts (Atom)